Islamic Health Insights is a blog dedicated to providing valuable information on the intersection of Islamic teachings and modern healthcare. Our mission is to educate and empower individuals to make informed decisions about their health and well-being based on the principles of Islam. We cover a wide range of topics related to Islamic health, including nutrition, mental health, natural remedies, and more. Our team of writers and experts is passionate about sharing their knowledge.

Header Ad

Thursday, August 20, 2020

Buri Nazar Utarne Ki Dua In Quran

 Buri Nazar Utarne Ki Dua In Quran


Nazar-e-bad ka ilaj karna behad zaroori hai nahi toh ye aapki jaan tak le sakta hai. Islam mein buri nazar ke asar ke bare mein tafseel se bataya gaya hai.Isliye ye behad zaroori hai ki jab bhi aap kisi cheez ki tareef kare to Masha Allah zaroor kahe. Jab aap Allah Talah ko har cheez mein shamil kar lenge toh Shaitan waha kabhi dakhil nahi ho payega. Agar aap ka koi kareebi buri nazar ka shikar ho gaya hai toh aap nazar ki dua in Quran Shareef ka sahara le aur is pareshani se nijat hasil kare.

Buri nazar ka shikar bache zayda hota hai. Kayi martaba log aapke bache ki achi tarbiyat se bhai tareef karte hai tab bhi bacho ko nazar lag jati hai. Agar aapko lagta hai ki aapke bache ko kisi ki nazar lag gayi hai toh aap nazar ki dua in Quran turant parhe. Insha Allah, kuch waqt mein aapke bache ko zaroor aram milega. Buri nazar ki wajah se aksar bache dudh peena chor dete hai ya phir tez bukhar mein padh jate hai. Agar aapka bacha bahot ro raha hai ya phir aur koi marz nahi samajh araha hai toh use nazar lag gayi hai.

Aap jald se jald buri nazar ki dua in Quran ke bare mein pata kare aur apne bache par parhe. Buri nazar sirf bacho ko nahi bade logo ko bhi lag sakti hai. Ye aapke ache khase chalte huye karobar ko tabah kar sakti hai. Agar aapko lagta hai ki aapke karobar ko kisi ki nazar lag gayi hai toh aap buri nazar ki dua in Quran parhe aur apne kaam karne ki jagah par dum kare. Insha Allah bahot jald aapko iska asar dikhega aur aapke kaam ke halaat sudhar jayenge.

Jisko bhi nazar lagi ho, uski nazar utarna bahot zaroori hai. Isliye aap nazar utarne ki dua in Quran ke bare mein jaan le aur isko istemal kare. Jab aap unki nazar nahi utarenge, wo thik nahi honge. Aap nazar utarne ki dua in Quran hasil karne ke liye humare molvi sb. se rabta kare. Wo aapko iska poora tarika sahi se bata denge. Insha Allah, bahot jald us shaks ko aram hoga. Nazar utarne ki dua in Quran har kisi ko jaan na chahiye.

Nazar ki dua in Quran aapke liye niche di gayi hai:

 وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ (51)

“Wa Iii Yakadul Lazeena Kafaru La Yuz Le Kunaka Bi Absari Him Lamma Sami’ooz Zikra Wa
Yakoloona Innahu La Majnoon Wama Huwa Illa Zikrul Lil Alimeen”

Jis kisi ko bhi nzar lagi ho, is dua ko parh kar aap 11 martaba dum kare. Insha Allah,unko bahot jald shifa hasil hogi.

Yaad rahe ki dua parhte waqt aapke dil mein aqeeda hona chahiye warna dua fayda nahi karegi. Aap chahe toh nazar se bachne ke liye taweez bhi pehen sakte hai. Ye taweez aap humare molvi sb. ke zariye bhi banwa sakte hai. Insha Allah, aapki hifazat Allah ka kalam karega aur aap har tarah ki buri nazar se bache rahenge.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

what islam say about health issues

The Islamic Point of view on Well-being: An All encompassing Way to deal with Prosperity   what islam say about health issues ? Presenta...

Blog Archive

Ad footer