Islamic Health Insights is a blog dedicated to providing valuable information on the intersection of Islamic teachings and modern healthcare. Our mission is to educate and empower individuals to make informed decisions about their health and well-being based on the principles of Islam. We cover a wide range of topics related to Islamic health, including nutrition, mental health, natural remedies, and more. Our team of writers and experts is passionate about sharing their knowledge.

Header Ad

Thursday, June 18, 2020

Mujarib Wazifa For All Problems

Mujarib Wazifa For All Problems

Har Mushkil K Hal K Liye:
rozana 450 martba Hasbunallahu wa ni`mal Wakil’: حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ parha karay.
2.IMT’HAN ME KAMYABI:
surah e yaseen ko 12 martba parh kar uskay waseelay se dua kiya karay.
3.SEHAT K LIYE:
namaz e fajr me sunnat o farz k darmian 41 martba surah e fateha parh kar dam karkay pilaya karay aur ye har la elaj marz ki dawa hain.yunprahay ki bismillah ki akhri meem alhamdu ki laam se milayi jaen…
bismillah hir rahman nir raheemilhamdulillahi…puri surah parhay.
4.HAFEEZA TEZ HO:
Har namaz k b,ad YA QAWEEYU ko 313 martba parh kar hatheliyon pe dam karkay sar par pher Liya karay.
5.JADOO AUR DUSHMAN SE HIFAZAT:
har namaz k b,ad su.fateha aaytul kursi aur 4ro qul parh kar hatho par dam karkay puray badan pe hath pher liya karay.
6.DUA KABOOL HONAY:
yaseen sharif parhkar uskay wasilay se dua karay.
7.QARZ SE NIJAAT :
rozana 505 martba YA FATTAHUYA RAZZAQU parh kar dua karay.
8.RANJ O GHAM AUR MUSIBAT SE CHHUTKARA:
juma k din b,ad e asr wahi baithay rahay aur ankhay band karkay apni hajat ka taswoorrakh kar bila tadaad YA ALLAHU YA RAHMANU YA RAHEEM parhtay rahay aur azan e magreeb k waqt dua karay,chand jumua aisa karnay se kaisy bhi musiibat ho door ho jaegi.ye sarkar nizamuddeen auliya ka atta karda wazeefa hain.
9.LARHKIYO K RISHTAY K LIYE:
khud larhki ya uski waliday ya ghar ka koi fard alhamdu sharif es tarha parhay ki jab
Iyyaka Na’budu wa iyyaka nasta’een par phochay to eska 11 martba takrar karay yani dohraye aur phir puri surah khatm karay.aur ye pani bismillah parh kar larhki pelay.40din ka aml hain,bandish bhi khul jati hain,aurat makhsoos dino ko tark karkay parhay.waqt w jagah muqrrar karay.behtar hain ki fajr me sunnat k b,ad parhay.
10.JINN BALAA SE HIFAZAT:
su.bakra ki tilawat karnay se ghar ya karobar me aur parhnay walon pe jin ya jadoo ka khatra nahi rahta.
11. DUNYAVI HAJAT:
su.Rahman parh kar dua kiya karay inshallah wo hajat bar aayegi chahay khud ka makan hi kyu na manga jaen.
12. Muqadma:
su.fat’h 40 martba parh kar court jaen faisla aapkay haq me hoga.agarshadeed zokhim ho to 100 bar parh kar dua maangay.inshallah na-insafi na hogi.
13.GURBAT BEIZZATI KO KHATM KARAY;
11-11 durood e pak k sath 300 martba lailaha illa huwal hayyul qayyum ba,d e isha parha karay.90 din ka amal hain.
14.TABADLA KI MANSUKHI K LIYE:
tabadla rukwanay k liye 19 martba surah e tabbatyada parh kar dua karay.
15.NEK W SA,ADATMAND AULAD K LIYE :
jab hamal thahar jaen to sub,ah sham 100 martba YA QUDDOOSU parh kar pet par dam kiya karay.aulad nek aur dunya me izzat hasil karaegi.
16.MUHABBAT:
agar aurat se shohar muhbat na karta ho ya bud akhlaq ho ya shohar ki biwi aisi ho to rat ko sonay se pahlay 1100 martba YA MOMEENU parh kar ankhay band karkay ye taswoor karay ki main aur mera shohar ars k saaye me hun aur shohar ka taswoor karkay so jaen.inshallah shohar muhbat se pesh aayega.
17:MULAZIMAT:
agar mulazimat na ho ya nikal diya ho aur wo wapis paana chahta ho to aadhi raat ko uth kar wuzu karkay asman k nichay kharay ho kar 300 martba YA AZEEZU parh kar dua kiya karay inshallah baot jald wapis mulazimat lag jaegi
18.WASAEL ME EZAFA:
fajr ki namaz ada karnay k b,ad aisy jagah baithay jahan se aftab nikalta hua nazar aaen jaisay hi surah ki tikiya namoodar ho YA BASEETU parhna shuru karday aur hateliyon par dam karkay chehray par pher le lay.
40din ka amal hain.aurat makhsoos din me bhi jari rakhay.

19.GHAR WALAY AAPAS ME MUHABBAT KARAY.
786 martba bismillah hir rahman nir raheem par kar pani pe dam karkay sabhi ghar walay piye ya kisi tarkeeb se pilaye aur ghar k konon me halka chhirhk de.toilet etc jagah pe na chhirhkay.

No comments:

Post a Comment

Featured Post

what islam say about health issues

The Islamic Point of view on Well-being: An All encompassing Way to deal with Prosperity   what islam say about health issues ? Presenta...

Blog Archive

Ad footer