24: Sura An-Nur
Shuru Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Yeh ek surat hai jisko humne nazil kiya hai, aur isey humne farz kiya hai, aur is mein humne saaf saaf hidayaat nazil ki hain, shayad ke tum sabaq lo.
2. Zaniya (adulterous) aurat zaani mard, dono mein se har ek ko sau (hundred) kodey (lashes) maaro aur inpar tars khane ka jazba Allah ke deen ke maamle mein tum ko daamangeer(pity) na ho agar tum Allah taala aur roz-e-aakhir par imaan rakhte ho, aur inko saza detay waqt ehle imaan ka ek giroh moujood rahey.
3. Zaani nikah na karey magar zaniya ke saath ya mushrika ke saath, aur zaniya ke saath nikah na karey magar zaani ya mushrik. Aur yeh haraam kar diya gaya hai ehle imaan par.
4. Aur jo log paak daaman auraton par tohmat (ilzam /bohtan/slander) lagayein, phir char (four) gawaah le kar na aayein, unko assii(eighty) kodey (lashes) maaro , aur unki shahadat kabhi qabool na karo. Aur woh khud hi faasiq hain.
5. Siwai un logon ke jo is harakat ke baad taaib (repent) ho jayein aur islaah kar lein ke Allah zaroor (unke haqq mein) gafoor o raheem hai.
6. Aur jo log apni biwiyon par ilzaam lagayein aur unke paas khud unke apne siwa doosre koi gawaah na hon to unmein se ek shaks ki shahadat(yeh hai ke woh) char martaba Allah ki qasam
kha kar gawahi dey ke woh (apne ilzam mein) saccha hai.
kha kar gawahi dey ke woh (apne ilzam mein) saccha hai.
7. Aur panchwi (fifth) baar kahey ke uspar Allah ki laanat ho agar woh (apne ilzaam mein) jhoota ho.
8. Aur aurat se saza is tarah tal sakti hai ke woh char martaba Allah ki qasam kha kar shahadat dey ke yeh shaks (apne ilzaam mein) jhoota hai.
9. Aur panchwi martaba kahey ke us bandi par Allah ka gazab totay agar woh (apne ilzaam mein) saccha ho.
10. Tum logon par Allah ka fazl aur uska reham na hota aur yeh baat na hoti ke Allah bada iltifaat(most forgiving) farmane waala aur hakeem hai, to (biwiyon par ilzaam ka maamla tumhein badi pechidgi mein daal deta).
11. Jo log yeh bohtan ghadh laaye hain woh tumhare hi andar ka ek tola hain. Is waqiye ko apne haqq mein sharr na samajho balke yeh bhi tumhare liye khair hi hai. Jisne is mein jitna hissa liya usne utna hi gunaah sametha aur jis shaks ne iski zimmedari ka bada hissa apne sar liya uske liye to azaab e azeem hai.
12. Jis waqt tum logon ne isey suna tha usi waqt kyun na momin mardon aur momin auraton ne apne aap se neik gumaan kiya aur kyun na keh diya ke yeh sareeh bohtan (slander) hai?
13. Woh log (apne ilzam ke saboot mein) char gawah kyun na laaye? Ab ke woh gawah nahin laaye hain, Allah ke nazdeek wahi jhootey hain.
14. Agar tum logon par duniya aur aakhirat mein Allah ka fazal aur reham o karam na hota to jin baaton mein tum padh gaye thay unki padash mein bada azaab tumhein aa leta.
15. (zara gaur to karo, us waqt tum kaisi sakht galati kar rahey thay) jabke tumhari ek zubaan se dusri zubaan is jhoot ko leti chali jaa rahi thi aur tum apne mooh se woh kuch kahey jaa rahey thay jiske mutaalik tumhein koi ilam na tha. Tum isey ek mamuli baat samajh rahey thay, halanke Allah ke nazdeek yeh badi baat thi.
16. Kyun na usey sunte hi tumne keh diya “humein aisi baat zubaan se nikalna zeib nahin deta, Subhan Allah , yeh to ek bohtan e azeem hai”.
17. Allah tumko naseehat karta hai ke aainda kabhi aisi harakat na karna agar tum momin ho.
18. Allah tumhein saaf saaf hidayaat deta hai aur woh aleem o hakeem hai.
19. Jo log chahte hain ke imaan laane waalon ke giroh mein fahash (indecency) phaiyle woh duniya aur aakhirat mein dardnaak saza ke musthaq hain, Allah jaanta hai aur tum nahin jaante.
20. Agar Allah ka fazal aur uska reham o karam tumpar na hota aur yeh baat na hoti ke Allah bada shafeeq o raheem hai (to yeh cheez jo abhi tumhare andar phailayi gayi thi badtareen nataij dikha deti)
21. Aey logon jo imaan laaye ho, shaytan ke nakshe qadam par na chalo, uski pairwi (jo) koi karega to woh usey fahash (indecency) aur badi (wickedness) hi ka hukum dega.Agar Allah ka fazal aur uska reham o karam tumpar na hota to tum mein se koi shaks paak na ho sakta, magar Allah hi jisey chahta hai paak kar deta hai, aur Allah sunnay waala aur jaanney waala hai.
22. Tum mein se jo log saahib e fazal (bountiful) aur saahib e maqdarat(means) hain woh is baat ki qasam na kha baithein ke apne rishtedar, miskeen aur mujhajir fi sabeelillah logon ki madad na karenge. Unhein maaf kar dena chahiye aur darguazar karna chahiye. Kya tum nahin chahte ke Allah tumhein maaf karey? Aur Allah ki siffat yeh hai ke woh gafoor aur raheem hai.
23. Jo log paak daaman, be-khabar, momin auraton par tohmatein (slandering) lagate hain unpar duniya aur aakhirat mein laanat ki gayi aur unke liye bada azaab hai.
24. Woh us din ko bhool na jayein jabke unki apni zubaanein aur unke apne haath paaon unke kartooton ki gawahi dengey.
25. Us din Allah woh badla unhein bharpur de dega jiske woh mustahiq hain aur unhein maloom ho jayega ke Allah hi haqq hai. Sach ko sach kar dikhane waala.
26. Khabees (Impure) auratein khabees mardon ke liye hain aur khabees (Impure) mard khabees (Impure) auraton ke liye. Paakeeza auratein pakeeza mardon ke liya hain aur pakeeza mard pakeeza auraton ke liye. Unka daaman paak hai un baaton se jo banane waale banate hain. Unke liye magfirat hai aur rizq e kareem.
27. Aey logon jo imaan laaye ho, apne gharon ke siwa dusre gharon mein daakhil na hua karo jab tak ke ghar waalon ki raza (ijazat) na le lo, aur ghar waalon par salaam na bhej lo. Yeh tareeqa tumhare liye behtar hai, tawakku hai ke tum iska khayal rakho ge.
28. Phir agar wahan kisi ko na paao to daakhil na ho jabtak ke tumko ijazat na de di jaaye, aur agar tumse kaha jaye ke wapas chale jaao to wapas ho jao, yeh tumhare liye zyada paakeeza tareeqa hai, aur jo kuch tum karte ho Allah usey khoob jaanta hai.
29. Albatta tumhare liye is mein koi muzahiqa nahin hai ke aise gharon mein dakhil ho jao jo kisi ke rehne ki jagah na hon, aur jinmein tumhare faiyde (ya kaam) ki koi cheez ho, tum jo kuch zaahir karte ho aur jo kuch chupate ho sab ki Allah ko khabar hai.
30. Aey nabi, momin mardon se kaho ke apni nazarein bacha kar rakkhein aur apni sharm-gaahon ki hifazat karein, yeh unke liye zyada paakeeza tareeqa hai, jo kuch woh karte hain Allah ussey bakhabar rehta hai.
31. Aur (aey Nabi),momin auraton se kehdo ke apni nazarein bacha kar rakkhein, aur apni sharmgaahon ki hifazat karein, aur apna banao singhaar na dikhayein bajuz uske jo khud zaahir ho jaaye, aur apne seeno par apni oadniyon ke aanchal daale rahein, woh apna banaao singhar na zaahir karein magar in logon ke saamne: shohar ,baap, shoharon ke baap , apne betay, shoharon ke betay, bhai,bhaiyon ke betay, behno ke betay,apne mail-jhol ki auratein, apne mamluk(those in their possession), woh zeir-dast mard jo kisi aur qisam ki garz na rakhte hon, aur woh bacchey jo auraton ki posheeda baaton se abhi waaqif na huey hon. Woh apne paaon zameen par maarti hui na chala karein ke apni jo zeenat unhon ne chupa rakkhi ho uska logon ko ilm ho jaaye.Aey momino, tum sab milkar Allah se tawbah karo, tawaqqu hai ke falaah paaogey.
32. Tum mein se jo log mujarrad hon aur tumhare laundi gulamon mein se jo saaleh hon, unke nikaah kar do. Agar woh gareeb hon to Allah apne fazal se unko gani kar dega. Allah badi wusat (boundless resources) waala aur aleem hai.
33. Aur jo nikaah ka mauqa na paayein unhein chahiye ke iffat-maabi(continence/paak daamani) ikhtiyar karein, yahan tak ke Allah apne fazal se unko gani karde aur tumhare mamlukon mein se jo makatibat(emancipation) kai darkhwast karein unse makatibat karlo,agar tumhein maloom ho ke unke andar bhalayi hai, aur unko us maal mein se do jo Allah ne tumhein diya hai. Aur apni laundiyon ko apne duniyavi faiydon ki khatir qahba-gari(prostitution) par majboor na karo jabke woh khud paak daaman rehna chahti hon. Aur jo koi unko majboor karey to is
jabr ke baad Allah unke liye gafoor o raheem hai.
jabr ke baad Allah unke liye gafoor o raheem hai.
34. Humne saaf saaf hidayat dene waali aayaat tumhare paas bhej di hain, aur un qaumon ki ibratnaak misalein bhi hum tumhare saamne pesh kar chuke hain jo tumse pehle ho guzri hain. Aur woh naseehatein humne kardi hain jo darne waalon ke liye hoti hain.
35. Allah aasmaano aur zameen ka noor hai ( kayinaat mein) uske noor ki misaal aisi hai jaise ek taaq mein chiraag rakha hua ho,chiraag ek fanoos mein ho(in a glass shade), fanoos(glass shade) ka haal yeh ho ke jaise moti ki tarah chamakta hua taara, aur woh chiraag zaitoon ke ek aise mubarak darakht ke tail(oil) se roshan kiya jaata ho jo na sharqi(eastern) ho na garabi(western), jiska tail (oil)aap hi aap bhadka padta ho chahey aag usko na lagey, ( is taraah) roshni par roshni (badhne ke tamaam asbaab jamaa ho gaye hon) Allah apne noor ki taraf jiski chahta hai rehnumayi farmata hai. Woh logon ko misaalon se baat samjhata hai, woh har cheez se khoob waaqif hai.
36. (Uske noor ki taraf hidayat paane waaley) un gharon mein paaye jaatay hain jinhein buland karne ka aur jin mein apne naam ki yaad ka Allah ne izan(ijazat) diya hai.
37. Un mein aisey log subah o shaam uski tasbeeh karte hain jinhein tijarat aur khareed o farokht Allah ki yaad se aur iqamat e namaaz o adaaye zakaat se gaafil nahin kar deti. Woh us din se darte rehte hain jis mein dil ulatne aur deedhey pathra jaane ki (eyes will become petrified) naubat aa jaayegi.
38. (aur woh yeh sab kuch is liye karte hain) taa-ke Allah unke behtareen aamaal ki jaza unko de aur mazeed apne fazal se nawaze. Allah jisey chahta hai be-hisaab deta hai.
39. (Iske baraks) jinhon ne kufr kiya unke aamal ki misaal aisi hai jaise dasht e bay-aab mein saraab ka pyasa (likened to a mirage in a waterless desert )usko paani samajhe huey tha, magar jab wahan pahuncha to kuch na paaya, balke wahaan usne Allah ko maujood paaya, jisne uska poora poora hisaab chuka diya. Aur Allah ko hisaab letay dair nahin lagti.
40. Ya phir uski misaal aisi hai jaise ek gehre samandar mein andhera , ke upar ek mauj chayi hui hai, uspar ek aur mauj, aur uske upar baadal,tareeki(andhera) par tareeki (darkness) musallat hai, aadmi apna haath nikale to usey bhi na dekhne paaye. Jisey Allah noor na bakshay uske liye phir koi noor nahin.
41. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ki tasbeeh kar rahe hain woh sab jo aasmaano aur zameen mein hain aur woh parinde jo parr phailaye udd rahe hain? Har ek apni namaaz aur tasbeeh ka tareeqa jaanta hai, aur ye sab jo kuch karte hain Allah ussey baa-khabar rehta hai.
42. Aasmaano aur zameen ki baadshahi Allah hi ke liye hai aur usi ki taraf sabko palatna hai.
43. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah baadal ko aahista aahista chalata hai, phir uske tukdon ko baaham jodta hai, phir usey sameit kar ek kaseef abr bana deta hai. Phir tum dekhte ho ke uske khaul mein se baarish ke qatre tapakte chale jaate hain aur woh aasmaan se , un pahadon ki badaulat jo usmein buland hain, aulay (hail / ice) barsata hai,phir jisey chahta hai unka nuqsaan pahuchata hai aur jisey chahta hai unse bacha leta hai, uski bijli ki chamak nigaahon ko kheira (dazzles the eyes) kiye deti hai.
44. Raat aur din ka ulat pher wahi kar raha hai. Ismein ek sabaq hai aankhon waalon ke liye.
45. Aur Allah ne har jaandaar ek tarah ke paani se paida kiya, koi pait ke bal chal raha hai to koi do taangon (two legs) par aur koi chaar taangon par. Jo kuch woh chahta hai paida karta hai, woh har cheez par qaadir hai.
46. Humne saaf saaf haqeeqat batane waali aayaat naazil kardi hai, aagey siraate mustaqeem ki taraf hidayat Allah hi jisey chahta hai deta hai.
47. Yeh log kehte hain ke hum imaan laaye Allah aur Rasool par aur humne itaat qabool ki, magar iske baad inmein se ek giroh (itaat se) mooh moad jaata hai, aisey log hargiz momin nahin hain.
48. Jab inko bulaya jaata hai Allah aur Rasool ki taraf, taake Rasool inke aapas ke muqaddame ka faisla karey to inmein se ek fareeq katra jaata hai.
49. Albatta agar haqq unki muafiqat (on their side) mein ho to Rasool ke paas baday itaat-kish (obedience) ban kar aa jaate hain.
50. Kya unke dilon ko (munafiqat ka) rog laga hua hai? Ya yeh shakk mein padey huey hain? Ya inko yeh khauff hai ke Allah aur uska Rasool inpar zulm karega? Asal baat yeh hai ke zaalim to yeh log khud hain.
51. Imaan laane waalon ka kaam to yeh hai ke jab woh Allah aur Rasool ki taraf bulaye jaayein taa-ke Rasool unke muqaddame ka faisla karey to woh kahein ke humne suna aur itaat ki, aisey hi log falaah paaney waale hain.
52. Aur kamiyab wahi hain jo Allah aur Rasool ki farma bardari karein aur Allah se darein aur uski nafarmani se bachein.
53. Yeh (munafiq) Allah ke naam se kadi kadi qasmein kha kar kehte hain ke “ aap hukum dein to hum gharon se nikal khade hon” Insey kaho “qasamein na khao , tumhari itaat ka haal maloom hai, tumhare kartooton se Allah be-khabar nahin hai”
54. Kaho, “Allah ke mutii bano (obey Allah) aur Rasool ke taabey farmaan ban kar raho , lekin agar tum mooh pherte ho to khoob samajh lo ke Rasool par jis farz ka baar rakkha gaya hai uska zimmedar woh hai aur tumpar jis farz ka baar dala gaya hai uske zimmedar tum ho. Uski itaat karoge to khud hi hidayat paaogey warna Rasool ki zimmedari issey zyada kuch nahin hai ke saaf saaf hukum pahuncha de”
55. Allah ne waada farmaya hai tum mein se un logon ke saath jo imaan laayein aur neik amal karein ke woh unko usi tarah zameen mein khalifa banayega jis tarah unse pehle guzre huey logon ko bana chuka hai , unke liye unke us deen(religion) ko mazboot buniyadon par qayam kardega jisey Allah taala ne unke haqq mein pasand kiya hai, aur unki (maujooda) halat e khauf ko aman se badal dega, bas woh meri bandagi karein aur mere saath kisi ko shareek na karein aur jo iske baad kufr karey to aise hi log faasiq hain.
56. Namaz qayam karo, zakaat do, aur Rasool ki itaat karo, umeed hai ke tumpar reham kiya jayega.
57. Jo log kufr kar rahey hain unke mautaaliq is galat fahmi mein na raho ke woh zameen mein Allah ko aajiz kar denge, unka thikana dozakh hai aur woh bada hi bura thikana hai.
58. Aey logon jo imaan laaye ho, lazim hai ke tumhare mamluk (your slaves) aur tumhare woh bacchey jo abhi aqal ki hadd ko(sex conscious /puberty) nahin pahunchey hain, teen aoqat mein ijazat lekar tumhare paas aaya karein: subah ki namaz se pehle, aur dopahar ko jabke tum kapde utar kar rakh detey ho, aur ishaa ki namaaz ke baad. Yeh teen waqt tumhare liye purdey ke waqt hain. Inke baad woh bila ijazat aayein to na tumpar koi gunaah hai na unpar, tumhein ek dusre ke paas baar baar aana hi hota hai. Is taraah Allah tumhare liye apne irshadaat ki tawzeeh (wazeh) karta hai, aur woh aleem o hakeem hai.
59. Aur jab tumhare bacchey aqal ki hadd (sex conscious /puberty) ko pahunch jaayein to chahiye ke usi tarah ijazat lekar aaya karein jis tarah unke baday (elders) ijazat lete rahey hain. Is tarah Allah apni aayaat tumhare saamne kholta hai, aur woh aleem o hakeem hai.
60. Aur jo auratein jawani se guzri baithi hon, nikah ki umeedwaar na hon, woh agar apni chadarein (outer graments) utaar kar rakh dein to unpar koi gunaah nahin, bashart ke zeenat ki numaish karne waali na hon. Taham (nevertheless) woh bhi haya-daari hi baratein (behave modestly) to unke haqq mein accha hai, aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai
61. Koi haraj nahin agar koi andha, ya lungda, ya mareez (kisi ke ghar se kha le) aur na tumhare upar is mein koi muzahiqa (harm/jarj) hai ke apne gharon se khao ya apne baap dada ke gharon se, ya apni maa, nani ke gharon se , ya apne bhaiyon ke gharon se, ya apni behno ke gharon se, ya apne chachaon ke gharon se , ya apni phoopiyon ke gharon se, ya apne mamuon ke gharon se, ya apni khalaon ke gharon se, ya un gharon se jinki kunjiyan(keys) tumhari supurdagi (possession) mein hon, ya apne doston ke gharon se. Is mein bhi koi haraj nahin ke tum log mil kar khao ya alag alag, albatta jab gharon mein dakhil hua karo to apne logon ko salaam kiya karo, dua e khair, Allah ki taraf se muqarrar farmayi hui, badi babarakat aur pakeeza. Is tarah Allah taala tumhare saamne aayaat bayaan karta hai, tawaqqu hai ke tum samajh bujh se kaam logey.
62. Momin to asal mein wahi hain jo Allah aur uske Rasool ko dilse maane aur jab kisi ijtimaii kaam ke mauqe par Rasool ke saath hon to ussey ijazat liye bagair na jayein, Jo log tumse ijazat maangte hain wahi Allah aur Rasool ke maannay walay hain.Pas jab woh apne kisi kaam se ijazat maangein to jisey tum chaho ijazat de diya karo aur aise logon ke haqq mein Allah se dua e magfirat kiya karo, Allah yaqeenan gafoor o raheem hai.
63. Musalmaano, apne darmiyan Rasool ke bulane ko aapas mein ek dusre ka sa bulana na samajh baitho. Allah un logon ko khoob jaanta hai jo tum mein aisey hain ke ek dusre ki aadd letay huey chupke se satak jaate hain. Rasool ke hukum ki khilaf warzi karne waalon ko darna chahiye ke woh kisi fitne mein giraftar na ho jayein, ya unpar dardnaak azaab na aa jaaye.
64. Khabardaar raho, aasmaan o zameen mein jo kuch hai Allah ka hai. Tum jis rawish par bhi ho Allah usko jaanta hai. Jis roz log uski taraf paltenge woh unhein bata dega ke woh kya kuch kar ke aaye hain. Woh har cheez ka ilam rakhta hai.
No comments:
Post a Comment